Fursat Hai Aaj Bhi Lyrics - Arjun Kanungo (2020)

Description:

Song: Fursat Hai Aaj Bhi
Singer: Arjun Kanungo
Lyrics: Mayur Puri
Music: Arjun Kanungo
Music Label: VYRL Originals


Lyrics:


Bhulna kya bhulaana kya
Ruthna kya manaana kya
Dil ko behlaane ka
Aur bas hai bahaana kya
Zindagi ka thikaana kya
Dil kabhi tha sayaana kya
Rooh mein tu hai mehfooz
Phir tera jaana kya
Tujhe khoya nahin tha kabhi…
Tu hai yahin kahin aaj bhi…
Fursat ka jo har lamhaa hai
Mujhse bas ye kehta hai
Aadat teri baaton ki aaj bhi
Teri ankhon ne jo dekhe they
Meri ankhon mein wo sapne hain
Sarhad nahin khwaabon ki aaj bhi
Tu hai aaj bhi…
Bin bulaaye ye aana kya
Aa gaye toh hai jaana kya
Teri yaadon se behtar hai
Dil ka thikaana kya
Tere mere wo pal meethey
Kum lagey saath jo beetey
Par tu hai door ye meri
Ankhon ne maana kya
Tujhe bhula nahin tha kabhi
Tu hai mere kareeb aaj bhi
Fursat ka jo har lamhaa hai
Mujhse bas ye kehta hai
Aadat teri baaton ki aaj bhi
Mmmmm…aaj bhi!
Teri ankhon ne jo dekhe they
Meri ankhon mein wo sapne hain
Sarhad nahin khwaabon ki aaj bhi
Tu hai aaj bhi…