2014 (Title) Lyrics - Naezy - 2014 (2020)

Description:

Song: 2014 (Title)
Movie/Album: 2014
Singer: Naezy
Lyrics: Naved Shaikh
Music: Karan Kanchan
Music Label: Big Bang Records


Lyrics:


Kya bol reli hai public
Number 70 se
Khatarnak shot
Kaun mere sath?
Karan kanchan on the beat
Naezy the baa boy!
2014 kia main shurun
Waqt beete fast fast 6,7 saal
Mushkilein thi saath saath
Vishwasghat saanp mere aas paas
Path mera pathrila nokila bahot billa
Show killer moti ka seep mila
Daaku samundri main pirate
O.g tu pirated main high rated
Modi to chai beche
Rap game pe lock mera
Rap karna job nahi rap karna shauk mera
Whack rappers bahut se yahan
Bap inka godzilla rehta kahan road pe
Main rehta kaha log ke dil mein dimag mein
Film’en demand pe tu netflix mein black tix mein
Behtareen practice mein
Role mera 70 tu 35 mein
Flow mera hatkar hai kayi kismein
Daant tere gayab hai dentist main
Lab mein partal karu scientist main
Antique romantic main dharti par mehnati
Tu dharti pe bhoj gireli soch galat approach
Paka nahi fal maarelle choch
Cheen lere log looti patang
Ya toh fir gappa na teri na meri
Dono ka nuksaan pachtana bachkana
Rone ka game aadat ye purana
Tujhko main pehchana
Bhari main tujhpe toh maamuli nishana
Lagana usko hi pehnana
Mujhko nahin sikhana batana, satana, patana
Meri nahin hatana
Hategi meri toh batega watana
Fategi teri aur jagega zamana
Score karun gandhi lau andhi
Main tufaani yun lana kranti
Roz karun warjish sitaare
Mere gardish mein urdu zubaan pe
Soch meri sanskrit mein arabic mein
Jeevan ki peheliyan rubiks cube
Girlfriend ki khairiat moody khoob
Scooby doo hua tu bhi screwed
Khud hi tu jhooth bole doosre ki chhod
Khud ho durust pehle jaise main rehta line pe
Tu late main hun time pe
Hai demand mera main command mein
Lu remand tera teri jaan pe
Teri jaan le raha mujhko pehchan be
Mujhko pehchan lera shanti mijaaj mein
Andaz ek misaal haina rishte tabah hue
Raaste shumaar haina
Mera raasta ye mera raasta wo
Tera sath jo de tera raasta wo
Baaki raste se tum side hato
Mujhe jane do mujhe aane do
Tasalli lo tasalli do
Mera haq hai jo mujhe paane do
Sach se sirf bhaagna koi hal nahi hai
Rab jo nahi yaad kaara aisa pal nahi hai
India mein rapping ka kal yahi hai
Hip hop me elements 5 hai
Snapback ek taj hai
Mcing, djing, bboying, grafitti
Knowledge ek art hai
Khud kare jo wo dusre mein baat te
Dukh baatein, sukh baatein nafrat pe muskraate
Kuch kaate chub jaate pehle bhaichara
Tum khud chaahte waqt aata bhul jate.