Dil Se Lyrics - Amit Bhadana (2020)

Description:


Song: Dil Se
Singer: Amit Bhadana
Lyrics: Amit Bhadana
Music: Lovepreet Singh
Music Label: Amit Bhadana


Lyrics:


Piche Mudd Ke Dekhne Ki Aadat Nahi Hai Meri
Par Kuch Baatein Hai Jo Kabhi Kabhi Past Mein Le Jati Hai
Whatsapp Par Padha Tha Shayad Ki Hassi Ki Keemat
Vahi Jaanta Haijise Dard Kaehsaas Hota Hai
Mujhe Dard Ka Pehla Ehsaas Bachpan Mein Hua Tha
Ek Din Pitaji Gaye To Vapas Nahi Aaye
Ek Khabar Ayi Jisne Meri Duniya Hi Badal Di
Musibaton Se Aadmi Ladd Leta Hai .. Par Dard
Deemak Ki Tarha Insaan Ko Ander Se Khata Rehta Hai
Fie Mujhe Ek Rasta Mila Dard Ko Bhulane Ka
Maine Dekha Ki Apne Aansu Chupane Ki Achchi Jagha
Dosaron Ki Hansi Hai

Dil Apna Saaf Rakho Mehnat Karte Raho

Deko Raste Mein Kankad Bhi Aaraha Hoga Na
Use Aap Ni Hataoge Koi Aur Hatake Side Rakhdega
Ki Bhai Aap Gir Jaoge Dekho Mein Hata Diya

Gali Ka Jokar, School Ka Maskhara – Amit

Talent Pani Ki Tarha Hota Hai
Kahin Na Kahin Se Beh Jane Ka Raasta Khoj Hi Leta Hai
Mujhe Toh Bas Logon Ko Entertain Karna Tha
To Dubbing Karke Video Banai
Ab Gali Aur School Ke Bahar Bhi Hansi Baant Kar
Main Khush Tha Video Ban Hue To Nirasha Ke Haavi Hone Se
Theek Pehle Khud Acting Karne Ka Plan Banaya
Chote Bhai Ne Camera Pakda
Aur Mere Hath Aa Gayi Logon Ki Nabz

Masti Masti Mein Video Bananeka Faisla Le Liya

Aur Gaadi Chal Nikli Log Hanste The Khush Hote The
Apni Yahi Kamai Thi Youtube Pe Naya Stage Mila
Lekin .. Shakal To Dekho Iski Desi Content Kahan Chalega
Ye Koi Comedy Hoti Hai Kehne Walon Ne Pata Nahi Kya Kya Kaha
Par Hum To The Besharam Bas Dil Ki Suni Aur Dil Ki Sunayi
Ek Din Jaise Neend Tooti Toh Dekha Ki Youtube Ke Aasmaan Mein
Main Sabse Uper Tha Sab Dekh Rahe The Ye Kaha Se Aa Gaya
Aur Humare Sar Par Chadd Baitha Bahut Logon Ki Bolti Band Hui
Aur Kuch Naye Logon Ne Bolna Shuru Kar Diya
Par Mere Chahhanewale Hamesha Nafrat Karnewalon Par Bhaari Pade

1 Million Par Bhi Pyaar Ne Pahunchaya Aaur Aaj 20 Million Par Bhi

Yahan Tak Kaise Aaya Pata Nahi Aage Kahan Jana Hai Pata Nahi
Par Itna Pata Hai Ki Kismet Ne Mujhe
Dusaron Ki Zindagi Mein Khusi Bikherne Ke Liye Chuna Hai
Aur Mujhe Apne Kaam Poori Imaandari Se Karna Hai

Kabhi Hater Ki Sazis Ka Shikaar Hua Toh Kabhi Maut Ke Muh Se Vapas Aaya

Anjaan Log Dost Ho Gaye Aur Kuch Dost Rah Mein Choot Bhi Gaye
Par Mujhe To Apne Aansu Logon Ki Hansi Ke Peeche Chupana Bachpan Se Aata Hai
Main Paani Ki Taraha Aage Badh Jaunga Aap Hanste Raho Bas Yahi Meri Jeet Hai
Kyon Ki Mujhe Hansi Ki Kimaat Pata Hai Baatein Bahut Saari Hai Gaane Mein Bataunga
Aap Ka Apna Amit Bhadana