Agar niyat saaf ho aur aadmi imaandari se kaam kare ... toh sade-saati bhi uska kuch nahi bighad sakti
Yeh sach hai ki calendar har tareek ko badalta hai ... lekin ek tareek aisi bhi aati hai joh calendar ko hi badal deti hai
Yeh six-pack, eight-pack, yeh body, kisi bhi gym mein ban sakti hai ... par aisa koi gym nahi bana jahan himmat banti ho
Jeb mein zara sa chhed ho jaaye na ... toh sikkon se pehle rishtey gir jaate hai
Is matlabi duniya mein agar koi bematlab ki baat bol jaaye ... toh us betmatlabi baat ka bhi bahut bada matlab hota hai ... aur tum jaise matlabi insaan ke saath rehne ka yeh matlab hai ki ... saari duniya ka matlab samajh mein aa jaata hai
Paise se dushmani badh sakti hai ... pan dushmani se paisa nahi badh sakta
Hum log science mein maante hai ... non-science mein nahi
Aapke dushman pe humne aisi dushmani nikali hai ... ki agar woh dushman bhi apne dushman ko dekh le na ... toh woh apni dushmani bhoolke us dushman pe taras khane lagega
Idea ice-cream ki tarah hoti hai ... zyada socho toh pighal jaati hai