Mard Maratha Lyrics - Javed Akhtar - Panipat (2019)

Description:

Song: Mard Maratha
Movie: Panipat (2019)
Singers: Swapnil Bandodkar, Ajay Gogavale, Atul GogavaleKunal GanjawalaPadmanabh GaikwadSudesh Bhonsle
Song Lyricists: Javed Akhtar
Music Composer: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Director: Ashutosh Gowariker
Music Label: Zee Music Company
Starring: Arjun Kapoor, Sanjay Dutt, Kriti Sanon

Lyrics:

Hey, bole dharti jaikara
Gagan hai saara goonja re
Jag mein lehraya nyaara
Dhwaj hai humara ooncha re
Hum woh yodha woh nidarr
Hum jo bhi disha mein jaayein
Saare path charan chhuve aur
Parbat sheesh navaaye
Raaste se hat jaaye nadiya ho ke hawayein
Hum hai jiyaale jeetne ko hum rann mein utarte hain
Hum sooraj hain ant hum hi raaton ka karte hain
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Jo rakt hai tann mein behta
Woh humse hai ye kehta
Sanmaan ke badle jaan bhi de
Toh nahi hai ghaata re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Veerta humne boyi aur ye phal paaya
Door tak ab hai phaili apni hi chhaya
O…
Jeevan jo rannbhoomi mein karta hai tandav
Aaj usi ne hai vijay ka nagaada bajaaya
Apni hai jo gaatha, ab hai samay sunaata
Sab ko hai ye bataata kaise sukh humne baata re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Sach ke sipahi albele raahi
Kya jante ho tum
Jab tum nahi thhe hum kab yahin the
Hum bhi the jaise ghum
Tum dhyaan mein the tum praan mein thhe
Jaise janam janam
Jab teer tumpe barse toh
Jaise ghayal huve the hum
Oh.. Dekho toh mujhse keh ke
Main jaan de doon tumpe
Kya tum ye nahin jaante
Duvidha ke aage jab naari jaage
Himmat se kaam le
Choodi utaar kangan utaar talwar thaam le
Maine li aaj shapath hai
Veeron ka path hai mera re
Lakshya apna jo banaa loon
Wahin daalun dera re
Hum woh yodha woh nidarr
Hum jo bhi disha mein jaayein
Saare path charan chhuve aur
Parbat sheesh navaaye
Raaste se hat jaaye nadiya ho ke hawayein
Hum hain jiyale jeetne ko hum rann mein utarte hain
Hum sooraj hain ant hum hi raaton ka karte hain
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Jo rakt hai tann mein behta
Woh humse hai ye kehta
Sanmaan ke badle jaan bhi de
Toh nahi hai ghaata re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kaata re
Bol utha ye jag saara jai mard maratha re.