Aaja Shaam Hone Aayi lyrics - S.P Balasubramaniam | Lata Mangeshkar - Maine Pyar Kiya (1989)

Description:

Song : Aaja Shaam Hone Aayi
Lyrics : Dev Kohli
Singers : S.P Balasubramaniam, Lata Mangeshkar
Music : RamLaxman
Music Label: Saregama
Movie: Maine Pyar Kiya

Lyrics:

Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi no no
Tu chal main aayi

Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi no no
Tu chal main aayi

Baja kya hai dekho zara tum ghadi
Guzar jaaye na prem ki ye ghadi
Baja kya hai dekho zara tum ghadi
Guzar jaaye na prem ki ye ghadi
Aati hoon thoda sa dheeraj dharo
Laga doongi main prem ki phir jhadi
Utni hi door hai tu jitni kareeb hai
Tere mere pyaar ka kissa ajeeb hai
Dhat tere ki
Ab to jaan pe ban aayi
Ye hai pyaar ki gehraai
Ab to jaan pe ban aayi
Ye hai pyaar ki gehraai
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi my god
Tu chal main aayi
Come soon yaar

Bahut ho chuki hai teri dillagi
Chali aao ab shaam dhalne lagi
Hey bahut ho chuki hai teri dillagi
Chali aao ab shaam dhalne lagi
Mere dil mein kitni umangein bhari
Tumhein main batati hoon aakar abhi
Haan ha mera jaadu chal gaya
Tera chehra khil gaya

Peechhe peechhe main chali
Aage aage tu chala dhat tere ki
To kar do sabko tum goodbye
Maine pyaar kiya main aayi
Kar do sabko tum goodbye
Maine pyaar kiya main aayi
To kis baat ki hai ladaai

Tu chal main aayi make it fast
Tu chal main aayi oh come on!!

Post a Comment

0 Comments