Aashiqui 2 Dialogue's

1. Yeh zindagi chal toh rahi thi ... par tere aane se maine jeena shuru kiya..!!

2. Yeh aadat ab nahi jaane waali hai ... yeh toh woh biwi hai joh saath rehkar satayegi aur talaq bhi nahi degi..!!

3. Tumhare ishq se bani hoon main ... pehle zinda thi ... ab jee rahi hoon main..!!

4. Star toh wohi ban sakta hai ... jiski aawaz sunkar, jiske geet sunkar ... dil kahe seeti maar..!!

5. Shaurat, naam, kamyabi, paisa, izzat ussi ko milni chahiye jise uski kadar ho ... roti ussi ko milni chahiye jise uski bhook ho..!!

6. Pyar, mohabbat, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi ... par jab woh mili ... in lafzon ko mainne mil gaye..!!

7. Mere bure waqt mein tum the mere saath ... ab agar achche waqt mein tum nahi ... toh yeh waqt bhi mujhe nahi chahiye..!!

8. Main us tarah ki ladkiyon se is tarah ki baatein nahi karta..!!

9. Main marne ke liye nahi peeta ... peene ke liye marta hoon..!!

10. Main aaine mein apna chehra bhool sakta hoon ... tumhara kabhi nahi..!!

11. Jinhe kuch nahi chahiye hota hai na ... woh apna kaam bahut zimmedari se karte hai..!!

12. Duniya ke sabse behtareen aur mashoor kalakar woh log hote hai jinki apni ek ada hoti hai ... woh ada joh kisi ki nakal karne se nahi aati ... woh ada joh unke saath janam leti hai..!!

13. Dil ko zubaan, aankhon ko sapne mil gaye ... aashiqui mein, zindagi ko mainne mil gaye..!!

14. Chaand ko chuhne ka waqt aah gaya hai..!!

15. Bimaar ke saath koi bimaar nahi ho jaata..!!

16. Apni kamyabi ko itna chota mat samjho ... sirf naseeb waalo ko naseeb hoti hai yeh..!!

17. Aksar chirag wohi bhujate hai ... joh pehle usse roshan karte hai.. !!

Post a Comment

0 Comments