Description:
Singer: Atif Aslam
Song: Tajdar E Haram
Language: Urdu, Persian, Arabic
Produced by: Strings on Coke Studio
Music: Maqbool Ahmed Sabri
Lyrics:
Kismat mein meri chain se jeena likh de
Doobe na kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi gawaarah hai magar mere liye
Aye katib i taqdeer madeena likh de
Tajdar e haram ho nigah e karam
Tajdar e haram ho nigah e karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jaaye ge
Haami-e bekasaan kya kahe ga jahan
Haami-e bekasaan kya kahe ga jahan
Aap ke dar se khaali agar jayenge
Tajdar e haram
Tajdar e haram
Koyi apna nahi gham ke maare hain hum..(2x)
Aap ke dar pe faryaad laye hain hum
Ho nigah e karam warna chaukhat pe hum..(2x)
Aap ka naam le le ke mar jayenge
Tajdar e haram
Tajdar e haram
Kya tumse kahun aye rab ke kunwar
Tum jaan tu ho man ki batiyan
Dar furqat toh aaye ummi laqab
Kaate nah katath hai ab ratiyaan
Tori preet mein sudh budh sab bisri
Kab tak yeh rahegi be-khabri
Daahe ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi to lo hamri batiyaan
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawali gaya
Ho habeeb e hazeen
Ho habeeb e hazeen par bhi aaqa nazar
Warna auraaq e hasti bikhar jayenge
Taajdar e haram
Taajdar e haram
O master, please spare a glance for your sorrowful lover
Else the pages of existence will become disarrayed
O king of the holy sanctuary
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Madeene chale, Madeene chale, Madeene chale
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Madeene chalen, Madeene chalen, Madeene chalen
Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein
Nigaah e shauq ki hai intiha madeene mein
Gham e hayaat nah khauf e qaza madeene mein
Namaaz e ishq karen ge ada madeene mein
Ba-raah e raast hai raah e khuda madeene mein
Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madine chalen
Mai-kasho aao aao madeene chalein
Daste saaqi-yi kausar se peene chalein
Yaad rakho agar
Yaad rakho agar
Uth gayi ik nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jaayenge
Wuh nazar jitne khaali hain
Sab jaam bhar jaaenge
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram
Khof e toofan hai bijliyon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayein hum
Aap hi gar na lenge hamari khabar
Hum museebat ke maare kidhar jaayenge
Aap hi gar na lenge hamari khabar
Hum museebat ke maare kidhar jaayenge
Tajdar e haram
Tajdar e haram
Ya Mustafa ya Mujtaba
Iraham lana Irham lana
Daamaan tu-hi, daamaan tu-hi
Man ‘aasi-yam man ‘aajiz-am
Man be-kas-am haal-e mara
Pursaan to-ye pursaan to-ye
Ay mushk-bed ‘ambar-fishaan
Paik-e naseem-e subh-dam
Ay charahgar insanafas
Ay moonis-e beemar-e gham
Ay qaasid-e parkhundah paye
Tujh ko usi gul ki kasam
Innal tiyari has-saba
Yauman ila ar-dil-haram
Balligh salaami roza tann
Feeh an-nabi al-mohtaram
Tajdar-e haram ho nigaah-e karam
Tajdar-e haram ho nigaah-e karam
Hum gharibon ke din bhi sanwar jaaen ge
Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan
Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaaen ge
Tajdar e haram
Tajdar e haram
Tajdar e haram
0 Comments